*Ydi tum kahoge
Aur chahoge , aur karoge , ki
Dharm ka rajya ho
To Dharm ka rajya hoga
Fir yeh na kahna ki
Yeh Islam ka rajya kyon ho gaya ,
Ya isayiyon ka , ya Khalsa panth ka
Dharm to dharm
Koi tumhara hi to dharm hai nahi !
Tumne kaha to dharm ka rajya ho gaya ##
*Jab pyas nahi thee
Tab maine pani ke liye mana kiya
Ab pyas lagi hai
To koi pani dene wala nahi #
*Itna likha tab bhee
Tamam chhoot gaya , aur
Prem ki baat to
Abhi likhee hee hahi #
***
*Sab aaram se hain
kewal musalman
pareshani me hain
saari samruddhi
hindu daliton aur
savarnon ne loot lee
manav-adhikariyon se suno –
musalmanon ko kuchh nahi mila
unse sab le liya gaya
sabse alag hain musalman
na we nyay pate hain
na we aatmhatya karne pate hain
sabse bhinn , sabse dukhi
sabse taklif me hai
bharat ke musalman
pareshani me hain
##
Roman Geet
0 – Hogi unki manzil , unki hone do ,
Hongi unki raahen unki hone do :
Hamko –Tumko apne marg banane hain ,
Jiski jo oonchayi , usko chhoone do 0
pareshani e hain
saari samruddhi
hindu daliton aur
savarnon ne loot lee
manav-adhikariyon se suno –
musalmanon ko kuchh nahi mila
unse sab le liya gaya
sabse alag hain musalman
na we nyay pate hain
na we aatmhatya karne pate hain
sabse bhinn , sabse dukhi
sabse taklif me hai
bharat ke musalman
*Haan main gyani hun
Kyonki maine gyan haasil kiya hai
Mujhe gyan hai
Kyonki main gyan ko prapt karna chahta tha
Isme duraw , lukaw , chhipaw kaisa
Main jo janta hun , wh main janta hun
Bhali-bhanti janta hun
Us gyan par mujhe vishwas
Adig bharosa hai
Tabhi to bole raha hun ! ##
*Jo kah sakte the
Wh to kaha hi
Is se zyada
Aur kya kahte ! #
*Aap ko vishwas ho to ho ,
Shesh koi aas ho to ho ! [sher]
*TV par
Vigyapanon ke trik aate hain
Bachche unhe asli samajh
Apnate hain ,
Aur janein ganwate hain
Usi prakar kavi log ishwar ke wajood ka
Trik khelte hain
Moodh jan
Unhe vastavikta samajh
Bhajan pooja , pakhand
Karne lagte hain
Apni buddhi ganwate hain
*Main sekularvad
Tab tak chillata rahunaga
Jab tak hamare dharm ka
Rajya sthapit nahi ho jata
Wh aage ki baat hai
Abhi to jai secularvad
Tumhi ho hamare mayi-baap ! ##
*Isme kya ashcharya!
- - -- - - - -- -- - --- - - - -
Isme kaun si khas baat hai
Yeh to hota hi hai –maine kaha
Yaksh ne mujhse whi prashna puchhe the
Whi jinhe yaksh-prashna kaha jata hai
Isee shabd se jana pahchana jata hai
Sadiyon porv , us jigyasa-katha ko
Haan ,log marte rahte hain
Fir bhi sochte hain we amar honge
Isme kaun si khas baat hai
Yeh to hota hi hai
Wh us samay ki baat thee
Jab yeh ashcharya ki baat thee
Ab to ashcharya ka prashn yeh hai ki
Itni dawaon ke bawjood
Aadmi marte kyon hain ?
Aur yeh bhi ki ,
Izzat ke liye itne
Premiyon ki hatyaon ke bawjood
Tajmahal khada kaise hai ?
Wh kanpta , thartharata , rota-chillata
Mar kyon nahi jata ?
Haan Yaksh ! ab duniya ke GK me
Yahi gyan hai ki
Tajmahal vishwa ka
Saatwan ashcharya hai ##
*[Radeef]-wah kya! Or wah kya baat hoti ! e.g=
Zindagi itni saral hoti wah kya !
Zindagi itni saral hoti wah kya baat hoti !
*Yeh koi
Shok sabha nahi hai
Jo prastav
Nirvirodh , sarvsammat
Parit ho jaye
Yeh manav ka mann hai
Uska buddhi – vivek
Uski bhavna ka ghar hai
Isme apni baat
Darj karne ke liye
Intzar karna padega
Aur apni baaton ki
Ragad ghiss karni padegi
Resha –resha kholkar
Dikhana samjhana hoga
Janta janardan ko ##
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें