शनिवार, 24 सितंबर 2011

रोमन हाइकु ३०

*Bhatak gaya
Bhatka na hota to
Bhatak jaata

*Sthool kaaya
Me sab to samaya
Aatma nikaya

* Haathi wh jo
Chalta jaye, woh
Nahi jo bhonke

*Wh saundarya
Ojhal nahi hua
Kabhi aankhon se

*Baat kahan ki
Shayrana andaz
Kahan ko gayi !

*Insaniyat
Bachni hi chahiye
Har haal me

* Insaniyat
Sabse oopar hai
Sab niche hain

*Main to hum hun
Hum kuchh nahi hain
Hum , main hun na !

*Dost banao
Apni swatantrata
Gawante jao


*Adhoorapan
Kabhi poora na hoga
Tumhare bina

* Yeh galti
Ho hi gayi lagti
Ab kya karun ?


* Jo chal jaye
fashion kahlata
taur tarika

* Baat to ho hi
Baat ko kahne ka
Tarika bhi ho

*Apna mann
Akhbar dekhta
Santosh ke liye

* Gaadi kharidi
Kahan khadi karoge
Batana hoga

*kiye jaata hun
Main paap par paap
Doshi samaj

*Tum vishishta ,
Vaigyanik moorkh , main
Paramparik

*Kutte ki dum
Meri bivi , magar
Kutta to main hun !

*Yug ki gati
Nahi rok nsakte
Tum ya koi

*Naam na leeje
Mahila aur shisht
Ram kahiye

*Pee liya hoga
Piyakkad chand ne
Poori chandni

*Kranti karte
Kranti ka dum nahi
Bharte hum
*Shoonya vat hain
Soch ke naam par
Kranti karenge !

*Nadi ke paas
Pyaas bujhane hetu
Jaana padega

*Brahmanvaad
Ko samasya nahi
Kya samadhan ?

*Sambhav nahi
Jiska practical
Kaisa darshan ?

*Har baat ke
Samaj – sambandh ke
Beech me paisa

*Pyaas nahi hai
Bhookh nahi lagti
Kya kunwaron ko ?

*Tunde ki jaati
Kababi, na hindu , na
Musalman

*Nahi rahna
Saharon ke bharose
Bahut zyada

*Uchit hua
Jo bhi aapne kiya
Mere nimitt

*Sochna shuru
Samasya aayi nahi
Ki vyakhya shuru

*Do akshar ka
‘swasthya’ kya likh diya
Haiku bana

*Nazar khincho
Udhar se fauran
Jidhar khincho

*Kuchh boliye
Prem ka pradurbhav
Kya hoga kuchh ?

*Parmatma hai
To use sarvatma
Ban na hoga
*Yoddha hun par
Yuddh nahi karta
Kisi anya se

*Yahi to hoga
Kuchh yaad aayega
Main chal doonga

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें