*prem vivahon ka report card kuchh utsaah vardhak nahin hai ve bhi sambandh dho rahe prateet hote hain isliye main sochta hun ki chahe prem vivaah ho ya pandit vivah , jatiya ho ya antarjatiya , vivaah arranged yani , mata-pita ki sahmati se hona chahiye aur mata-pita ko bhi chahiye ki ladke – ladkiyon ki chahat me zyada chun-chapad na karen usme kewal apna anubhav joden na ki dakiyanoosi vichar ##
*Kuchh log rajneeti me naujawanon ki badee bhumika bakhaan kar rahe hain Pahla nishkarsh to yeh ki ve swayam boorhe ho gaye hain Varna jawan to vahi ,jo apna kaam doosre jawan par na chhode To ,ab ydi ve sachmuch iimaandar hain to, kam se kam unhe rajneeti to chhod hi deni chahiye Fir naye jawan uska jo chahen karen ##
*Swarg ka swapna hi sabhi ne diya , lekin swarg kisi ne nahi diya Chahe Hindu-Islaam ho ,ya koi rajneetik vaad ya koi raja - rani Fir iske liye kisi ko doshi man na nirarthak ho jata hai
Ek baat gaur karen Dhani musalmaan bhi apne gharon me naukar ya mazdoor – mistry lagane me aksar musalman ko hi chunta hai Zahir hai ve musalmaan deen –heen hi hote hain Par na to ve apne maalik ka gala kaat te hain , na mohammed Sahib ki kameez faarte hain Iske vipreet hindu mazdoor kya kar rahe hain ? wh maanta hai ki brahmanvad uski deenta ka karan hai Ydi yhi baat hai to musalmanon me iska kya kaaran hai ? Kah sakte hain –wahan bhi brahmanvad hoga par wahan to dono miljul kar rah rahe hain ! Ab inhi haalat me ydi kuleen, dhanadhy hindu apne karyon ke liye dalit ya gareeb hindu jaatiyon ke paas na jayen , to aur kiske paas jaayen ? ## *Yeh ek jantantra premiyon ke beech bada bhram hai ki gramya jeewan bahut sunder hota hai , gramin jan atyant bhole , gareeb bade masoom , bicycle wale nireeh , paidal yatri dayneeya hote hain –etc lekin aisa hai nahi Anya muddon par to tamam log rajneeti kar rahe hain Hum kewal yeh baat uthate hain ki padal aur cycle se chalne walon ki laparvahi ke karan anek durghatnayein hoti hain , aur unhe kamzor maan kar chhod diya jata hai Sadak ke niyam ullanghan karne wale aise logon ka bhi chalan hona chahiye aur zurmana lagna chahiye #
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें