शनिवार, 24 सितंबर 2011

उसकी बुराई क्यों करें

* क्या मेरा यह तर्क ठीक होगा कि जो सामने नहीं है , उसकी बुराई करना उचित नहीं है ? फिर ईश्वर की , जो है ही नहीं या है तो समक्ष-प्रत्यक्ष नहीं है , की आलोचना -बुराई हम क्यों करें ?
*Agyani ban na kise achchha lagta hai ? Isliye hum Iishwar ko n a jante huye bhi yeh kahna pasand karte hain ki hum use jante hain wh aisa hai , yeh karta hai , ityadi
*Islam aur Marxvad me bas kitabon ka antar hai
Ydyapi yeh kahi likha nahi hai , par satya prateeti hai ki :-
“ Aur aiye Allah aur Koran par imaan lane walo ! Tum apna kaam nirbhay hokar karo humne tumhare liye tumhari aur muslim qaum ki hafazat ke liye pravakta bana kar duniya ke anya qaumon me bhi paida karke bheja hua hai Ve apne samay me secular kahlayenge Ve rajneeti, shiksha ,vyavastha ,samajik kary aadi kshetron sansthaon aur partiyon me honge Ve NGO ke naam se vishva vikhyat honge ##

*NASTIK AFWAH
Yamraj aur shani maharaj ne ek samyukt bayan me kahlaya hai ki jo log varsh 2011 me apna sharir dan dene ka form bharenge , unhe ve nirvighna , sukhad ,lambi aayu ka vardan denge ##

*Yeh theek hai ki parlok-swarglok jaisa kuchh nahi hota , lekin hamari yahi sampatti , yahi bibi – bachche –parivar , kaar ,TV,refrigerater sofaset ,double bed ,lawn, naye fashion ke kapde ,hawai yatra bhi to zindgi nahi hai Zindgi is se bhi pare hai aur us se bhi alag Jahan akele tum ho aur tumhari akeli zindgi Wahan yeh sansar bhi nahi hai Devi- Devta swarg ityadi to hai hi nahi ##

* Auchitya ka dharm – dharm ka auchitya
Jab jaisa uchit lage ,use dharm / dharm ki shikshaon se jod kar batana Apne oopar koi zimmedari, koi vivaad na lena Sewa kary pasand hai to kah diya Isa maseeh ne aisa kaha tha aur gareebi ke liye ud dhrat karna ki oont to suyi ke chhed se nikal sakta hai , par dhani aadmi swarg nahi jaa sakta Sambandhiyon se jhagda hua to Gita ki duhai de di Isee prakar apne karyon ko kabhi Islam ,kabhi Sikh, kabhi Jain etc dharm se jodkar uska auchitya batana, siddh karna yeh kahani numa banegi , ya kisi upanyas ke paatra ka chitran ###

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें