*Ab aap sadharantaya kisi sadharan vyakti se bhi dharmik vartalap nahi kar sakte kyonki jaise hi aap kuchh kahna chahenge , wh shuroo ho jayga aap ko kahne ki zaroorat nahi ,wh aap se zyada kahna , bolna janta hai ab sn ne ka samay , thoda dhairya poorvak vichar karne ki fursat-zaroorat kisi ko nahi hai Babaon ne unhe itna kuchh bata diya hai ki wh swayam ek achchha pravachan kari ho gaya hai Albatta , ydi aap koi guru ka vesh dharan karke aayen to poori bheed aapko sun ne jut jayegi vaise aap sadharan manushya ki haisiyat se kisi se dharm ki charcha nahi kar sakte 15/4/11
*Jab tak ishwar ke vajood par prashn –chinh nahi lagega , tab tak kisi bhi manushya ,samaj tatha rajya ka bhala nahi ho sakta
* Jo bhi neeti mujhe achchhi lagti hai , use main Islam ki sangya deta hun Jo bhi siddhant mujhe aahladit karta hai , use main Hindutva kahta hun Jo bhi gun mujhe insaniyat ki oonchayiyon par le jaatee hai , use main iisayiyat kahta hun aameen ! Let it be so
* Dharm aur iishwar hamare bade- boorhon ke samaan hain Jab tak ve hain , hum unka aadar karte hain hum jante hain , ve kuchh din ke mehmaan hain aakhir ve mar jayenge aur unki mrityu par hum rote bhi hain , shok manate hain Isee prakar hamari peerhee bhi jo dharm banayegi , jaisa iishwar poojegi , ya sanskrutik niyam –yojna sthapit karegi ,hum chahenge ki neeche ki peerhi uske burhape tak use poora aadar –satkar de Fir to use bhi mar hi jana hai ?
*Chances are there for the God to be
*Is dunia se na plastic ki thaliyan jayengi , na ishwar tas se mas hoga
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें