रविवार, 25 सितंबर 2011

बदमाश चिंतन

0 अपनी पत्नी की
मुझे लाज रखनी है ,
इसलिए नज़रें
पराई ओर रखता हूँ ।

* angrezi ka BETTER shabd , urdu ke BEHTAR se liya gaya prateet hota hai #

*I love democracy,
But I am not democrat
I am hypocrite ##

*Striyan hamari majbooriyan hain majbooro na ho to hum aurat ko apne ghar me na paalen ##

* chaar shaadiyan : Pragatihsil logon ko bahut padi rahti hai jaati baahar , dharm baahar shaadiyan karne ki Aakhir unhe kitni shadiyan karni hain ? Ek hi to ? Aur jab ek hi karni hai to apne jaati dharm me kya burayi hai , ydi unhe apna jaati – dharm nikrishta nahi lagta to ? Aise me Islaam ki yaad aati hai Is tarah to wh sabse pragatishil hai ki wahan chaar shaadiyan ki ja sakti hain Hindu –Muslim –Sikh –Iisayi ka bhai chara sachmuch qayam ho jaay !##

*MANSOON = maan jaao very soon [Jaldi ] , - - varna -- #

*Kiski hai wh kiski hogi,
Beevi iski uskee hogi #

*Triya picture :- Main pahli baar 3-D picture dekh raha tha Beech me khyal aaya ki hindi vadi mitra –‘bandhu ji ’ ko kya bataunga ? Unhe hindi me ‘tri-aayami ’ batana padega angrezi ki tarah short karun ti yeh :TRI-AA banega Matlab , main kahunga –triya picture ya fir seedhe “Triya charittar” dekh raha tha ##

*PROSERY = Prose like poetry [i.e my style of poetry]
*Main mahila –virodhi hun Swabhavik hai kyonki main unka vipreet lingi [hetrosexual] hun , Aur ve mere prastav ka samarthan nahi kartin
*Burqa rahna chahiye wh rahega bhi , hamare aap ke kahne , chane- na chahne se kuchh hota bhi nahi main paardarshita nahi chahta Sab cheezon ki soochna ke adhikar ki bhi mujhe chaah nahi ##
*Chhedkhani aur balatkaron ke samacharon se aurton me yeh dharna avashya ban rahi hogi ki mano purush varg unke liye maraa jaa raha hai , dharashaayi hua jaa raha hai Jab ki aisa hai nahi
Isliye unke bhram-navaran ke liye purushon ko chahiye ki chhedkhani ya balatkaar ko kaun kahe , ladkiyon aur aurton ke prati kisi swabhavik aakarshan se na kawal mukta hon , balki unki upeksha karen ,bahishkaar karen , unse door rahen unki taraf aankh utha kar dekhen tak nahi aur ydi nazar galti se uth jaay to use fauran wahan se fer len Tab pata chalega aurton ko purushon ka bhav
*15/4/11 Ek taraf se Rahul gang ko samarthan aur barhava , doosri taraf balatkariyon ko saza dilwana ! bhala kis himmat-e-niswan dwara sambhav hai ?
*15/4/11 Natak- MAHA BRAHMAN , Brahmanon me chhoot- achhoot ki samasya Ab hamari samajh me aa jana chahiye ki brahmanvad koi samasya nahi hai , kyonki yeh har desh ,samaj ,samuday me vyapt hai Fir iske nirakaran ka koi upaay bhala ho hi kaise sakta hai ? Jo samasya nahi hai us se hum hwayi yuddh lad rahe hain Safalta ka sawal hi nahi uthta main chahun to ek naya dosh brahmanvad ke sar par thonk sakta hun Hamare jaise na jaane kitne logo , yuvaon- krantikariyon ko apne se ladwakar unhe lahoo-luhaan kiya ,unka moolyvan samay,durlabh jeewan nashta – barbaad kiya Aur hua kuchh nahi kuchh hona bhi nahi tha kyonki brahman vad koi samasya hi nahi hai Sab manushya ke apne manovikar hain jinhe wh anya-anya naamon par thopta hai Vishvaas na ho to vidit kar lijiye Ishwar ke naam par hamne kya-kya nahi thop rakha hai Par sach kya hai ? Kya sachmuch Ishwar hai ? ##
*Hum galat rajneeti ke abhyast hain Virodhi dal hain to unka sarvada kaam hai sarkar ki har achchhe-bure kaam ya neeti ki aalochna hi karna unse rashtra hit se koi sarokaar nahi hota [yuddh-aapda ko chhod kar] e.g. Rajeev Gandhi ne kah diya ki ek rupye ka chaar aana hi pahunchta hai ki sab le ude mano ,unhone iska samarthan kiya ho ya iske liye karmchariyon ko uksaya ho Ek sachchi sthiti bayan kar di to ve doshi ho gaye haay-haay , jab pradhan mantri hi kah raha hai to us desh ka kya hoga ? mano wh na kahte to sthiti badi suder hoti Vastutah wh is saafgoyi ke liye prashansa ke patra the nhi ki kya yeh baat galat thee ki –“jab koi bada pend girta hai - - -” ? Par iske liye unhe hinsa uksane ka doshi bataya gaya Kya yeh sach nahi tha ki Indira Gandhi ki hatya unke sikh angrakshakon dwara sampradayik soch ke tahat kee gayi thee ,jinhe Indira Gandhi ne apni abhiraksha ke karya se hatana inkaar kar diya tha ? Kya unke saath vishwaas ghaat nahi hua tha ? Isee prakar Gujrat ki aalochna karte samay koi Godhra ka naam tak nahi leta , jiska kuchh to pratifal tha hee Gujrat Yeh theek hai ki ati nahi honi chahiye thee , sarkar ko use sakhti se rokna chahiye tha na ki usma shamil hona Iske liye Narendra Modi ki aalochna uchit hi thee Lekin Godhra ko sabhya samaj dwara bilkul darkinaar kar diye jane ka hi nateeja hai ki aaj Narendra Modi ki wahan fir sarkar hai
*”LOK BRAHMAM” hain hamare aadhunik Indian civil society , right activist shreshthata ke dambh se paripoorna , purane brahmanon ki bhanti
*”Aadhi Roti khayeinge , Shauchalay banvayeinge” = village wall writing
Is par Bandhu ji ka kahna hai tab shauchalay ki zaroorat hi kahan rahegi ?
*Shadi huyi Khajan se / Pooja kartin bhagvan kee
*Jis samay Marx, Poverty of philosophy ki bakvaas kar rahe the , us samay unki patni Poverty of Medicine se joojh rahi theen
*Safety Razor se bhi daarhi kat sakti hai Visheshkar burhape me , galon par jhurriyon ke karan
*Mai SUDOKU ka khel khel kar apna manoranjan karta hun akhbaron ke easy level ke sudoku bharta hun medium ko haath nahi lagata , aur Hard ko to dekhte hi hata deta hun Kaam manoranjan ke liye karta hun , sir dard mole lene ke liye nahi [a sort of Khushwanti ekhan]
##############

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें