*jisne parha
Usi ne achchha likha
Mai kya likhunga !
*ladi jaungi
To main bhi lad loongi
Barabar se
*bhaiya namaste
Usne , maine kaha –
Namaste bhaiya
*kalakaron ke
naam hi naam bhar
sahitykaron ke
*jo mil gaya
Wh mitra ho gaya
Bhinn/ abhinn
*khoob hai unhe
Manhgayi ki chinta
Jo bhare- poore
*tanee hai patni
Patit patidev
Bhent kaise ho ?
*Sarkar se
Ladna aasan hai
Andhvishvas
Jo janta me vyapt
Un par to
Ungli uthane me
Nani marti
Jan kary kartaon ke
Ladna door
*Keechad me hun
Lekin kamal hun
Behtar hun
*Keechad to hun
Kamal ke neeche hun
Yeh achchha hai
*main to kuchh bhi
Nahi kar sakta
Asahaay hun
*Mahatwpoorn
Hun, lekin tumse
Zyada to nahi
*Gyan milna
Mujhko ya tujhko
Baqi hai abhi
*Unka kaha
Theek ho jaoge
Meri hai dawa
*Poora karte
Ishwar ka aadesh
Communist bhi
*Ghatak bani
Meri samajhdari
Atishay ki
*Kise fursat
Hansne –hansane ki
Jatil wakt
*Tutpunjiyon ke
Paas kitni poonji
Kuchh pata hai
*Manushya mare
Maut mandrati hai
Siyar par
*Job na mile
Degree kis kaam ki
Pratiyogita
*Mahapurush
Pahchane jate hain
Mrityoprant
*Mrityu se poorv
Lakshan aa jate hain
Mar jane ke
*Bahut mila
Mujhe mere haq se
Bahut zyada
*Koi bhi kaam
Har koi aadmi
Kar sake hai
*Ab to koi
Paas bhi aata nahi
Kis se kahoon !
*Saal me ek
Baar nishkasan to
Bank ki neeti
*Mann me aati
Kitni buri baat
Bahut buri
*Nagrik jee
Bahut bole liya
Chup ho jao
*Chaploosi to
Kaam nahi karti
Pragya ke aage
*Mera ho , tera
Sab hari ka naam
Sabka naam
*Facebook me
Akarshak lagte
Kuchh chehre
*Nahi nahata
Kabhi naha bhi leta
Jade ke dinon
*Shoshan nahi
To samriddhi bhi nahi
Sadhu nirdhan
*Paise na hon to
Na patni na premika
Koi na saath .
*Sandeh hai to
Satya bhi sambhawit
Hoga hi hoga .
*Kaisi to haya
Khulepan – yug में
Kaahe ka sharm !
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें