शनिवार, 24 सितंबर 2011

रोमन हाइकु २८

*Tamam bheed
Sadak kaat rahee
Sahi galat .

*Hum apne
Sharir ke gulam
Hain to zaroor .

*Antar nahi
Isliye ho gaye
We antartam .

*Tumhara sparsh
Vidut ka pravah
Jiwan bhasm . [or]

*Tumhara chhona
Vidut ka bahna
Tan jalna .

*Jahan manav
Wahan maila , to kahan
Hai maila –mukti .

*Jo soch leta
Wh kar dalta
Jo karmveer .

*Bahut cheezein
Hum nahi jante
To theek hi hai .

*We isliye
Rashtr-prem karte
Ki use we le lein

*Swarth sochna
Sach na bole dena
Haani paaoge .

*Turning truth
Into more truth
Be our [my] goal .

*Paise se taula
tulta chala gaya
har aadmi .

*Koi tarika !
Na ho vyakti ki hatya
Mujhe batao .

*Kam ke ghante
Barhe , lekin shram
Ki matra ghati .

*Tum mile ki
Akarshan samapt
Tumhare prati .

* Jisne dekha
Dekhta rah gaya
Tumne dekha ?

*Woh hawa thee
Jisne mujhe chhua
Ya ki tum the !

*Myth tootega
Abhi to rahne do
Tab tootega

*Kuchh bhi kiya
Saarthak – nirarthak
Usee ne kiya

*Rakho to poora
Vishwaas rakho, nahin
To nahin rakho

*Sikka jamana
Kya matlab hua
Raja ho jana .
***
*Some Times
Secret is Sacred
Open Bad.
***
*Paryapt Hota
Bahar se Sharif,
Sabhy Dikhna .
***
*Asharful
Makhlookaat nahi hoon
Jo aintha rahoon.
***
*Kam bolna
Jyada banata baat
Badbol se . [ apekshakrut],[banisbatan].
*Aaj dard hai
Badan me to hai hi
Dil me bhi hai .

*Uljhan hai
Sharir ko dekhun ya
Man ki sunoon.

*gaon se zyada
Gaon ke aadmi ki
Padi hai mujhe .

*kya kar lete
mera koi sambandh
ydi hota bhi ?

*kaise khatm ho
Sambandhon ki jadta
Iski chinta .

*is dukh se
Nizat koi nahi
Sirf sahna .

*Bas thodi see
Sadhna ki kami hai
Baki theek hai .

*Shadi banao
Prem karo , na karo
Naam nibhao .

Bharosa chhodo
Ab to kisi kaa bhi
Wah bhi nahi .

Priya hain mujhe
Chhoti chhoti nadiyan
Taal talaiya.

Khatra bani
Khyaati meri jaan ki
Achchhe bhale the .

Kar to chuke
Upbhog tan ka
Kya chahte ho ?

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें