*DHOOL MERE PAIR KE NEECHE ‘
KINTU ,SAR PAR DHOOL TERE PAAON KA #
*Todne chala to
Toota to kuchh nahi
Jo ban na tha wh bhi na bana ,
Banane ki thaani
To kuchh bana bhi le gaya
Aur jo kuchh rootna tha
Wh toot bhi gaya #
*Vakya sare – aam hona hai ,
Mulk ko fi gulaam hona hai #
*Kaash mujhe gaana banana aata ,
Kaash mujhe gaana gaana aata #
*Bahut dhoondha magar mujko na mila ,
Tumhe kaise mila tinke ka sambal ? #
*Mai kis se kahun
Batti bujha do
Mujhe neend aa rahi hai
Main sona chahta hun ? #
*Kar tab kha ‘
Sarkaar jab
Kar leti hai to
Mantri gan
Khayen kyon nahi
Kar ka paisa ?#
*Lantaraniyan
Ya parhayi – likhayi
Kaam na degi
Kaam dega to Aayu ka anubhav
Gyan bhandar #
*Taari hai andhkaar fir chashma laga ke kya ? [samasya poorti]
*Bahut mushkil na hoga kaam , yeh to socha tha ,
Itna aasan hoga kaam , yeh na socha tha
*Muafi mangni hai , wh to unse mang hi lunga ,
Magar pahle zara kuchh ghaltiyan sampoorn to kar loon !
###
*Ab to hame wh pata hai
Jo gautam buddh ne gyat kiya
Kabir- Mahabir, jo khojkar de gaye
Newton Einstein ne
Jin kudarti niyamo ko
Doondh kar nikala
Ab hamari samajh me nahi aata
Ki hum unke samay ke poorv ki
Agyan-avastha me kyon hain ?
Kyon nahi hum aage barhte
Wahan se ,jahan ve poorvaj-mahapurush
Hame chhor kar gaye the ?
###
* Qafiya jiska nahi mila, Radeef hi use bana liya ,
Jiska tha koi na aasra , raqeeb hi use bana liya
*Zyadah bata dete hain
Paise rikshe wale
Kya karen ,
Dena parta hai
###
*Main kitabon me
Nahi jaunga ,
Kaapiyon me
Rah jaunga
###
*Bahut likhte ho
Samaj ke liye ,
Desh ke liye ,
Vishva ke liye,
Antariksha ke liye ,
Thoda kuchh
Apne liye bhi likho
###
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें