* हम अपनी सोच के प्रति ही सत्यनिष्ठ नहीं हैं , तो भ्रष्टाचार के खिलाफ क्या प्रतिबद्ध - सन्नद्ध होंगे ?
Diary 16/4/11 . Anna Hajare muhim me main sachmuch unke saath pata nahi kyon ,nahi ho paya | Jabki yeh mera vyaktigat sarvochch shikhar abhiyan hai | wh baat alag hai ki iske peechhe rajneetik aur technical tota bhi tha aur yeh bhi ki is upaay aur samiti nirmaan se kuchh haasil nahi hoga | par ydi Anna sachmuch bhi bhrashtachar ke khilaaf sanlagn hote to bhi aaj main akalan karta hun ki main tab bhi unke saath na hota | kaaran talaash karta hun to paata hun ki iske peechhe bhi meri ananya satyanishtha hai | Main is abhiyan me be imani ke saath shamil nahi ho sakta jaise main mandir nahi jaata , jabki ishwar ko na maan ne wale bhi be hichak mandir ja sakte hai | Jaate hi hain | Jitne log mandir jaate kya ve sachmuch ,sahi arthon me ishwar ko mante hain ? wahi haal bhrashtachr virodh ka hai | Anna ne use bhi ek rashtreey pakhand/ kriya-karm me tabdeel kar diya | Yeh aarop bas prateek ke roop me hai varna un bhole –bechare ne to kuchh kiya hi nahi | Unke peechhe karne wale to aur log hain|
To samasya yeh thi ki main apne bhai-bandhu ,nate –rishtedar , dost-ahbab ko kaise chhod sakta tha, jo bhrashtachar me sanlipt hain |Agar ve vaisa na karen to unki , unke pariwar ki zindgi nark ban jaye ,jise ve kya , main bhi na dekh paunga | Krishna ka Parth sareekha anuyayi ban na mere vash me nahi tha |
Doosre isliye bhi main isse alag raha kyonki isme shamil tamam parichiton ke bare me mujhe achchhi tarah pata hai ki unme apne bhitar naitikta ka kitna aagrah hai , ek shoony ke aage ? Jinko jahan mauka mila unhone nimntar shreni ki naitikta ka pradarshan kiya |Dhan dohan /laaghav bhi aur iske atirikt bhrashtachar ke aayamon me bhi | Unhe bhrashtachar ki asli samajh hi nahi hai ,ki yeh kitni gahri hoti hai | Unke lekhe [aur hai bhi ] pay slipdwara sarvjanik roop se prapt lakh rupye prati mah bhi uchit hai ,aur bina dastkhat ke ek beeda paan bhi lena gunah hai | Mere [Gandhi aur Islam ke] ahsaas me maulik zaroorat se aage ya sabse antim vyakti se adhik ki ek paise ki amdani bhi haram hai , bhrashtachar hai | Mujhe to apni thodi si patruk sapatti bhi katne ko daud ti hai |Iski charcha koi karta hi nahi , thoda sa communiston ke alava | Lekin wahan bhi dikhawa aur kahna , bhashan bhar dikhta hai | Sachchayi aur practical wahan se bhi door hai |Mere mann ko kahin aasha ki kiran nahi dikhi |
Isliye mujhe yeh aandolan ek rajneetik chhadm ke siva kuchh nahi laga | Santon, sachche parivartan- kaamiyon ke to shreya yeh tha ki wh aisi sthitiyon ko samapt karen, jiske chalte ekaayi janon , janta ki ikayion ko bhrashtachar ka sahara lena padta hai |Aisi koi chinta ya prayas is abhiyan [aandolan nahi ] me sire se anuplabdh hai | Isliye main isme shamil nahi hua | Abhi to main hamesh ki tarah avichlit [unabashed ]bhrashtachar ke viruddh vaktigat naitik zid ke liye hi uksaata hun | Apvaad swaroop hi kuchh vyakti samaj ki dhara se vilag iimandary ka palan aur samaj ke samaksh udhaharan ka pradarshan kar naitikta ka jhanda prakash stambh ke roop me uthaye rahenge | Unki yeh aahuti aage ka satyanishth samaj banane me sahayak hoga | ###
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें